Gairo ke khatir | Poetry


Gairo ki is duniya me
Mana humne apna tumko
Dusro ki khusi ke liye
Kar diya ek pal me begana humko.

Socha tha rista hoga gaihra humara
Sath hoga apna sunehra
Jhute ho gaye sapne sare
Lagta h ab koi na raha apna.

Aisa bhi kya rista apna
Gairo ke liye ho gaya wo kitna sasta
Mahenga padh gaya sath tumhara
Ab hoto par kabhi na hoga naam tumhara.

Bhula denge wo bate tumhari
Tumse judi wo yaade sari
Ho jayenge tumse dur gairo ke khatir
Kyoki gairo se suru hoti h ab tumhari khusiya Sari.

Parchhayi bhi apni na pahuchegi tum tak
Dur rahenge tumse jeevan bhar
Saya bhi meri na pahuche tum tak
Tumhe khusiya hi khusiya Mile har pal.

Watch Video 

Post a Comment

0 Comments