Aangan Ki unki Mai chidiya nyari Hu Mai sabki dulari Kahte sab mujhko, Ho gayi tu Ab badi sayani Papa ki mai bitiya pyari.
Ungali pakad kar jinki chalna sikhi Kaandhe par baith kar sari duniya dekhi Kahte hai meri to hai ye rajkumari Papa ki mai bitiya pyari. Pyare pyare sapne dikhate Aage badhne ki rah batate Sath unke hone se, hu mai badi sayani Papa ki mai bitiya pyari. Bachpan me naye naye khilaune dilate Bade hone par school tak sath aate Akelapan kabhi na mujhko darati Papa ki mai bitiya Plari.
Har musibato se ladna sikhate Khud piche khade hokar mujhe aage chalate Agar pucho unse kabhi ki , Papa tum aage kyo nahi aate
Fir muskura kar kahte , Aage tumko hai badhna meri rajdulari Kyoki tum to ho apne Papa ki bitiya pyari.
0 Comments